Pyaar ka jahaan basaya tha humne... Dil ne dokha de diya. Sapno ka aashiyaana banaya tha humne... Kisine bewafai ke pathar se tod diya. Dard aisa hua k aasmaan ro padaa... Ab Humne pyaar ka astitva hi mita diya.
Ek ummeed ka diya jalaya tha aapke pyar ko paane ko, Par adhoora reh gaya mera sapna ek hone ko. Yaad karte hain hum aapki yaadon ko, Aur barsa dete hain in aansuon ko.
Zuban khamosh, ankhon me nami hogi, Yahi bas ek dastan-e-zindagi hogi, Bharne ko to har zakham bhar jayega, kaise bharegi wo jagah jaha Teri kami hogi.