Aapko dekhu,ab ye irada bhi baki na raha,tujhe sochu,shayad ab ye haq bhi hamara na raha,kabhi to karti apni majbooriyoin ka khulasa hamse,ki lad jaya jahan se tere liye ye bhi tujhko gavara na raha.
Ab ke sawan mein paani barsa bahut,Paani ki har boond mein woh aaye yaad bahut.Is suhaane mausam mein saath nahi tha koi,Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bahut.