Sata sata ke hamen ashqbar karti hai Tumhari yaad bahut beqaraar karti hai Gila nahi ke nasibo ne kar diya hai juda Teri judaai bhi hamse pyar karti hai
Sar jhukaoge to pathar devta ho jayega Use itna mat chaho woh bewafa ho jayega Main khuda ka naam lekar pi raha hun dosto Zehar bhi usme agar hoga to dava ho jayega Hum bhi dariya hai hame apna hunar malum hai Jis taraf bhi chal padenge rasta ho jayega
Dil tutta hai aankh bhar jati hai, kuch pal ke liye jaise zindgi ruk jati hai, pehle wada karte hai jindgi ban ke rehenge, phir na jane kyon yeh zindgi sath chhod jati hai.
rok lo qadam jee bhar ke dekhlo hamara tumhara saath bas yahin tak tha manzil mile na mile ab hamari kismat ke zindagi ke saath safar bas yahin tak tha