Jakhm jab mere sine me bhar jayenge, ansu bhi moti bankar bikhar jayenge, ye mat puchna kis kis ne dhoka diya, varna kuch apno ke bhi chehere utar jayenge.
Jab hum tanha ho to sath rehna,Roye ankhe to ansu poch lena,kyuki jinda hai jab tak hi satayenge,wada karte hai marne ke baad to aapko yaad bhi na ayenge!
Aap to chand ho jise sab yad karte hain or hamari kismat to taro jaisi hai,hume yad karna to door,Log apni khawahish ke liye hamare tutne ki fariyad karte hain.
Jo ansu ki tarah behta gya wo raqt hu mai jise qadam qadam par ajmaya gya wo waqt hu mai shayad isi tarah likhi meri taqdeer khuda ne jise chahne wala to mila par chaha na gya aise shaqs hu mai