ek khushi ki chah me har khushi se dur hue hum,kisi se kuch keh bhi na sake itne mazboor hue hum,na aayi unhe nibhani pyar me wafa aur zamane ki nazar bewafa ke naam se mashur hue hum
bahut dinon baad aaya hai yeh deewana is dar par jaise laut ke mauj phir aayi ho sahil par main to pehle bhi tanha tha aaj bhi tanha hun kaun dega dastak is deewane ke dar par
Yeh sach hai ki. Aa jata hai shohrat ka Asar.. insaan to kiya dar-o-deewar badal jate hai.. Aur bewafa badle ya naa badle.. Waqt aane par wafadar badal jate hai.
Ek bar mombati ke ander ka dhaga bola, main jalta hu to tu kyu piglti hai? Mombati boli,jisko dil me jagah di ho vo jab bichadta hai to ansu to nikalte hai na.