Dil ke angan se chand ka didar ho gaya,mai divana ho gaya,chand badalo mai kho gaya,maine badal hatne ka intjar kiya,tabtak chand kisi aur ka ho gaya..
Dheere dheere se ab tere pyaar ka dard kam hua, na tere aane ki khushi hui aur na jaane ka gam hua, jab log mujhse puchte hain hamari pyar ki dastaan, main keh deta hun ki ek fasana tha jo ab khatm hua…
Ab unki chahat mein yeh naubat aa gayi, Thandi hawa bhi hume jala gayi, Kehti hai aap yahan tadapte hi reh gaye, Mein tumhare sanam ko chuu kar bhi aa gayi
agar yeh zid hai k dua salam na ho to us raah se guzro jo rahein aam na ho suna hai mohabbat mai log marte hai khuda kare mohabbtein tumhare naam na ho.......