Kehte hain patthar dil aadmi ke, aansoo nahi nikalte; Par teri hi kudrat hai, pattharon se hi jharne phootte hain. Dil patthar ke nahin hote, jamana bana deta hai Sakhta patthar ke peeche ka dard kise pata hota hai?
Ek lmha ek manzar guzar jata hai.jab apna koi begana nazar ata hai, yu to awaaz aati hai har shishe ke tutne ki, par kbhi bin awaz k be sab tut jata hai.
Uss Se Juda To Hogaya Per Youn Laga Mujhe Jese Jahan Mein Koi Apna Nahi Raha WO Bewafa Nahi Magar Itna Zaror Hai Pehle Wo Jis Tarah ka Tha Wesa Nahi Raha
Ek ummeed ka diya jalaya tha aapke pyar ko paane ko, Par adhoora reh gaya mera sapna ek hone ko. Yaad karte hain hum aapki yaadon ko, Aur barsa dete hain in aansuon ko.
Kabhi zindagi ke pannon ko ulat kar dekhiyega, Aapko ek shaksh yaad aayega, Bhool jaaoge zamane ke diye saare gham, Jab hamare saath guzara waqt yaad aayega.