Ek ummeed ka diya jalaya tha aapke pyar ko paane ko, Par adhoora reh gaya mera sapna ek hone ko. Yaad karte hain hum aapki yaadon ko, Aur barsa dete hain in aansuon ko.
Itne karib aye ke dur ho gaye, Itane hanse ki rone ko majbur ho gaye, Aur ansuon ko apana mukaddar bana liya, tanhaiyon ke shahar me ek ghar bana liya.
"Sath dene ka vada kiya tha,shikwa sehne ka vada kiya tha,agar wo hame bhulakar khush hain to koi gam nai,kyuke hamne to unko khush rkhne ka vada kiya tha.
Baharon ki Rangat Baghbaan Me Hoti Hai, Ishq Ki Tadap Insan Me Hoti Hai, Na Kare Mohabbat Aisa Koi Pathar Dil Nahin, Patjhad Me Kaliyan Bhi Viran hoti hai.