Gamo Mai Bhi Muskurana Chahta Hu Mein, Tumhe Bhulake Ek Nayi Duniya Basana Chahta Hu Mein, Magar Na Jane Kyun Nikal Ate Hai Ashoo, Jab Bhi Tumhe Bhulana Chahta Hu Mein.
Guzarte lamho me sadiya talash karta hoon,Ye meri pyas hai nadiya talash karta hoon,Yahan to log ginate hai khubiya apni,Me apne aap me khamiya talash karta hoon..
Tanha koi na mila jispar duniya luta dete,har ek ne dhokha diya,kis-kis ko bhula dete.Apne dard ko dil mein hi rakhte hai,karte bayan to mehfil ko rula dete.
Muskurake hum apna dard chipate hain Hum wade-e-wafayee taumr nibhate hain Par humpe aaj na hai kisi apne ko aetbaar Aaj humein sab begaana batate hain
Vada hamne kiya tha nibhane ke liye, ek dil diya tha ek dil pane ke liye, unhone mohabbat sikha di or kaha, hamne to mohabbat ki thi tumhe aazmane ke liye.