Mohabat k safar me koi rasta nahi deta,Zameen Wakif nahi banti falak saya nahi deta,Uthana khud hi padta he thaka tuta badan,K jab tak saans chalti he koi kandha nahi deta.
Nafrat thi hamse to izhar kyu kiya? Dena tha zaher to pyar kyu kiya? Dekar zaher kehte hai ke pina hi hoga,Aur jab pi gaye zaher to kehte hai ab jina hi hoga.
Maikhane mein jam tut jata hai, Ishq mein dil tut jata hai, Na jaane kya rishta hain dono mein. Jam tute to Ishq yaad aata hai, Dil tute to Jam yaad aata hai.