Ab ke sawan mein paani barsa bahut,Paani ki har boond mein woh aaye yaad bahut.Is suhaane mausam mein saath nahi tha koi,Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bahut.
Dard hi sahi mere ishk ka inaam to aaya khali hi sahi hathon me jaam to aaya.Main hu bewafa sabko bataya usne yu hi sahi uske labo pe mera naam to aaya
Bahoot tamanna thi, pyar mein aashiyan banane ki, Bana chuke to lag gayi Nazar zammane ki. Usi ka karz hai jo aaj hain aankhon mein aansoo, Saza mili hai hume bus muskurane ki
Raat ankho me dhaLi palkon par jugnu aye hum hawao ki tarah jakar use chuh aye usne chuh kar mujhe pathar se insan kiya mudhaton baad meri ankho me ansu aye
katra katra bhate the aansu,aur hum unhe sukha bhi na paye. isse badi wafa ki saza kya hogi,vo roye hum se lipatkar kisi aur ke liye,hum unhe hata bhi na paye...