Mere sath sath sada raha woh meri nazar se chupa hua Ye ajeeb si jo misal hai na kabhi mila na juda hua Jise le gai hai abhi hawa woh varak tha dil ki kitab ka Kahin ansuo se likha hua kahin ansuon se mita hua
mat puch mujh se mere sabar kii wasatain kahan tak hai sata kar dekh le zalim teri takat jahan tak hai sitamgar tujh se umeed kiran hogi jinhain hogi hamain tu dekhna yah hai kay tu zalim kahan tak hai
Dil tadpata raha or woh jane lage… sang guzre har lamhe yaad aane lage… khamosh nazro se dekha jo usne mud kar… yu bhingi palko se ham bhi muskurane lage…