Kabar ki mitti utha ke le gaya koi, isi bahane humein choo kar chala gaya koi, tanhayi aur andhere mein khush they hum, lekin phir se intezaar karne ki wajah de gaya koi..
Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi
Guzarte lamho me sadiya talash karta hoon,Ye meri pyas hai nadiya talash karta hoon,Yahan to log ginate hai khubiya apni,Me apne aap me khamiya talash karta hoon..