Ai muhabbat tere anjam pe rona aaya Jane kyu aaj tere naam pe rona aaya Kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gham Manzile ishq mein har gaam pe rona aaya
zakhm sah letey hain..honthon ko see letey hain zindagi jaisi bhi dey ...usey khushi se jee letey hain tu hamein apney hathon sey pila na pila aey saaki peeney waley to teri ankhon sey peee letey hain!
ai kas ki mai sikandre sahar hot,har meel pe tere nam ka ptthar hoota,uto aadat hai mujhe har gam me muskurane ki varna charo taraf samundar hi samundar hota.
Tanha ho kabhi to mujhe dhoond lena, is duniya se nahi apne dil se pooch lena.. apke aspas he kahi rehte hai hum, yadon se nahi to sath guzre lamho se pooch lena.
Barsat me hum pani ban ke bah jayenge. Patchad me phool ban kar jhard jayeng. Kya hua jo aaj tumhe tang krte hain. Ek din bina bataye kahi chale jayenge.
Kadam kadam pe baharon ne saath chhoda, zaroorat padne par yaaron ne saath chhoda, vaada kiya sitaron ne saath dene ka, subah hone par sitaron ne bhi saath chhoda.
Dard is kadar bhadha ki ghabrake pee gaya,apni bebasi per taras kha ke pee gaya,thukra raha tha ye jaha badi der se mujhe ,aaj is jaha ko thukra ke pee gaya