Jaate huye mud kar jab humne dekha, samajh gaye hum jo tumne na kaha, tumhara jaana thi koi majburi, tumse bhi na sahi jayegi ye duri, har wade pe teri aietbar hai hume, bas itna yaad rakhna, aapke laut kar aaneka ka intezar hai hume
Mai tujhko chahkar kaise kisiki chah karun,Tujhe nibha ke kyu kar koi nibaah karun,Tu zindagi hi nahi meri bandagi bhi hai,kisi aurko sochke kaise koi gunaah karun? :
Unse dur jaane ka irada na tha, sada saath rehne ka bhi waada na tha, woh yaad na karenge ye jante the hum, par itni jaldi bhul jayenge ye andaza na tha.
Unhe aadat hai zakham dene ki. Apni toh fitrat hai gum chupane ki, ab toh aadat si pad gayi hai aasu pi jane ki, kya haseen saza di hai zaalim ne dosti rakhne ki…