Wada to kar lete hai par nibhana bhul jate hai, laga kar aag sine main buzana bhul jate hai, bhulana jaisi adat ho gai hai _ap ki, aap hi rulate hai, our fir manana bhul jate hai.
Unki galiyoon se jab gujre to manjar ajeeb tha, Dard tha magar wo dil ke kareeb tha, Jise hum dhoondhte the apni hathoon ki lakeeroon mein... Wo kisi doosre ki kismat, kisi aur ka naseeb tha.
Dil k raste or soch ki galiyose guzarte dekha.pyar or jazbato ko yaha kuchalte dekha.zindegi mohabat ka nam kaise kahe,jabki har shaks ko humne badalte dekha.
Kashti bhi na badli , Dariya bhi na badla , Ham dubne walo ka jazba bhi na badla Hai Zok-e-Safar aisa ek umar se hame, Manzil bhi na pai or rasta bhi na badla
rok lo qadam jee bhar ke dekhlo hamara tumhara saath bas yahin tak tha manzil mile na mile ab hamari kismat ke zindagi ke saath safar bas yahin tak tha
loog kehtay hain agar hum khushnaseeb huwye to tumhein zaroor paaein geye hum poochtey hain logoon say agar hum badnaseeb huweye to kese jee payein geye !!!