Tanhaiyo ke shahar me ek ghar bana lia, Ruswaiyon ko apna mukkadar bana lia. Dekha hai yaha pathar ko pujte hain log, Bas isliye apne dil ko pathar bana lia.
Is se zyada kya rakhte hai chahat ki umeed,mita diya khud ko tumhe paane ke liye,mar kar bhi na bhool payenge hum,aankh to bandh ki hai sirf zamane ke liye.
Mujhai dard-e-ishq ka maza maalum hai, Dard-e-dil ki intha maalum hai, Zindgi bhar mooskrane ki dua na do yaro, Mujhai pal bhar mooskrane ki saza maalum hai.
geele kagaz ki tarah hain zindagi apni, koi jalata bhi nahin koi bahata bhi nahin, is qadar hain akale rahaon mein dil ki, koi bulata bhi nahi koi batlata bhi nahin