Intezaar ka jo meetha dard diya hai aapne, mujh par bada ehsaan kiya hai aapne. Yeh hichkiyan bhi to nahi aati kambakht, jo sochu ke yaad kiya hai aapne.
Manzile bi uski thi,Rasta bhi uska tha. Ek main akela tha,Kafila bi uska tha.. Sath Sath chalne ki soch bi uski thi,Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha... Aaj kyo akela hoon,Dil sawal karta hai,Log to uske the, Kya KHUDA bhi uska tha,.
Ansuoo ko palko tale chupaye baithe hai,zakhamo ko aaj hum silaye baithe hai,tu bewafa huaa to kya.....kahi hamari wafa badnam na ho jaye hoto ko isliye dabaye baithe hai.....
Kabhi-na-kabhi ye dil jarur rota hai,Jab koi apna mil-kar nazaro se dur hota hai.Sab se pahele roti hai ye aankhe,Q ki dil se jyada kasoor in ka hota hai.
Saath Na Sahi Tanhai To Milti Hai,Mulakat Na Sahi Judai To Milti Hai,Kaun Kehta Hai Pyar Me Kuch Nahi Milta,zindgi bhar ki yade or ruswai to milti hai…