Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi
Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne, khud bula ker phir sataya hai kisi ne, jab tak jali hai shama jalta raha parwana, kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne
Kabhi roke muskuraye, kabhi muskurake roye Teri yaad jab bhi aayee, tujhe bhula bulake roye Ek tera hi naam tha jise hazaar baartha likha Jise khush hue the likhkar use mita mitake roye…
Humne pyar nahi ishq nahi ibadat ki hai,Rasmon se riwajo se bagawat ki hai,Manga tha humne jise apni duwaon me,Usi ne mujhse juda hone ki chahat ki hai.