Yakin mano wo

Yakin mano wo
Yakin mano wo maut bhi badi suhani hogi,jisme hamari mohabat virani hogi,chalo wada raha tumse pehle hum jaenge,kyoki tumare swagat ki rasm bhi to nibhani hogi.
  

Jan, 27 2012     160 chars (1 sms)     10757 views       Shayari > Sad Shayari

more Sad Shayari SMS Messages

Vafa Nahin Milti Yahan Vafa Karke,Humne Dekha Hai Tazurba Karke, Zindagi To Kabhi Nahin Aayi,Maut Aayi Bhi To Zara Zara Karke.
Wo yuhi humse ruth gae sare arman mere tut gaye nafrat ka dh0ng unhone aisa dikhaya ke woh patthar bankar jine lage Aur hum shisha bankar tut gaye.
"Tute hue paimane me kabhi jam nahi ata, ishq k marizo ko aram nahi ata,e dil todne wale ye jan liya hota k tuta hua dil kisi kaam nahi ata.
Kaun jane kab maut ka paigam aa jaye, Zindagi ki akhari sham aa jaye, Hum toh dhundhte hain waqt aisa jab, Hamari zindagi apke kaam aa jaye
Masoom mohabbat ka itna sa fasana hai.Kagaz ki haweli hai barish ko bhi aana hai.Us paar utrne ki ummed bahut kam hai.Kashti bhi purani hai tufan ko bhi aana ha
Zindagi mohtaj nahi raaston ki.. waqt har manzil dikha deta hai... koi marta nahi kisi se juda hokar... waqt sabko jeena sikha deta hai.
Aaj fir se aakhein nam kyon hai ,Jise paya nahe use khoneka gam kyun hai , Tumse milkar bichde to ehsas hua,ki,Zindagi itne kam kyun hai..
Teri Bewafai ka mujhe gila nahi kya hua tu mujhe mila nahi phir Bhi Dua karenge tare waste tujhe wo mile jo mujhe mila nahi
Dil se roye magar hothon se muskura baithe, yun hi hum kisi se wafa nibha baithe, woh hame ek lamha na de paye, Jinke liye hum apni zindagi gawaa baithe.
Apno k sitam ka hisaab kya rakhna, jo beet gaya pal use yaad kya rakhna! bas ye soch kar muskurate hain, apne ghamo se dusron ko udaas kya rakhna
Sham tanha ab guzarte nahi,tum aajao sham meri guzar jayegi Bechain ruh ko bhi kuch karar mil jayegi.Teri panaah me sham meri guzar jayegi
Main vahee phool hun jo har dam rahaa patthron ke beech, sisakta rahaa tadaptaa rahaa, Khushboo magar khoee nahin.