Dharti ka gum choopane ke liye gagan hota hai, dil ka gum choppane ke liye badan hota hai, Mer ke bhi choopane honge gum shaayad isliye har laash pe ek kafan hota hai
Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho Khud Nazar Aaogye Jo Aankh Mila Ker Dekho Mere Gham Mai Mari Takdeer Nazar Aati Hai Dugmagaaoge Mera Dard Utha Ker Dekho
Dil main har raaz daba kar rakhte hain , Hontoon per muskurahat saja kar rakhte hain, Yeh duniya sirf khushi mein saath deete hai , Iss liye hum apne aansoon ko chupa kar rakhte hain
Mitti ka jism leke pani ke ghar me hu, manzil hai maut meri main harpal safar me hu, hona hai qatal ye malum hai, lekin khabar nahi main kis-2 ki nazar mein hu
Koi Mila Hi Nahi Jis Ko Wafa Dete Har Ik Ne Dokha Diya Kis Kis Ko Saza DeteYe Hamara Zarf Tha Ke Khamosh Rahe Warna Daastan Sunatey To Mehfil Ko Rula Dete
Mar Jaonga Bakhsis Ki Dhuai Nahi Doonga Sacahi Ka mujrim Hoon Safai Nahi Doonga Mer k Bhi Meri Rooh Tere pass Rahe Ge Mein Samne Aa Ke Bhi dikhai Nahi Doonga
Itne karib aye ke dur ho gaye, Itane hanse ki rone ko majbur ho gaye, Aur ansuon ko apana mukaddar bana liya, tanhaiyon ke shahar me ek ghar bana liya.
Bagair jane pehchane ikrar na kijiye, Muskura kar dil ko be qarar na kijiye, Phool bhi de jate hai zakhm gehra kabhi kabhi, Har phool par yu aetbaar na kijiye..