Kuch hain jo bolkar apni baat samne rekhte hain Hum hain jo aankhon se izhaar karte hain Humein adat hai kinare aakar nao doobane ki Woh hain, ki toofan main bhi samandar paar kiya karte hain
Agr khush he wo dekh kr ansu meri ankho me,to khuda kasam hum muskurana chod denge,tadapte rahenge use dekhne ko magar uski taraf palke uthana chod denge
dard e dil kisko batayein hume yahan har doosra diljala mil jata hai kambaqt yeah tera chehra humein ab sharab mein bhi nazar aata hai sochta hoon dil badal loon lekin har dil mein tera ehsaas mil jata hai
Ab ke sawan mein paani barsa bahut,Paani ki har boond mein woh aaye yaad bahut.Is suhaane mausam mein saath nahi tha koi,Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bahut.