Din akele raat tanha kaat dee maine, Dosto main saari khushiya bant di maine, jeevan ki bhag daud me mujhko mila hi kya, paane ki ummid me zindagi kaat di maine.
Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne, khud bula ker phir sataya hai kisi ne, jab tak jali hai shama jalta raha parwana, kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne
geele kagaz ki tarah hain zindagi apni, koi jalata bhi nahin koi bahata bhi nahin, is qadar hain akale rahaon mein dil ki, koi bulata bhi nahi koi batlata bhi nahin
Hamare jine ka ek alagandaz hai.Ek ankh me ansu to Dusri me khwab hai.Tute hue khwabo pe kuch ashk baha lete hai.Aur Dusri aankh me fir khwab saja lete hai.