Nighaon me suna pan, dil b viraan hai, mere mehboob kya yahi pyar ka inaam hai, Tumne chaha aur raat din pooja maine, Mujhpar laga ye bewafai ka Iljaam hai!...
tarapthe woh hain jinn ko koi ehsaas ho, door kar ke dua karthe hain, kaash woh mere paas ho, yeh judaai ke pal khud rothe hai tumari yaad main... faryaad karthe hain...dard ka bi koi insaaf ho
Hum hawa nahi jo kho jayenge, Hum waqt nahi jo guzar jayenge. Hum mausam nahi jo badal jayenge, Hum to aasu hai jo khushi aur gum dono mein nazar aayenge.
Ai muhabbat tere anjam pe rona aaya Jane kyu aaj tere naam pe rona aaya Kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gham Manzile ishq mein har gaam pe rona aaya