Rulane se pahale ek bar hasaya to hota, kasur kya hai is dil ka bataya to hota, mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne, kaash ye dil kabhi kahi lagaya na hota.
Itne karib aye ke dur ho gaye, Itane hanse ki rone ko majbur ho gaye, Aur ansuon ko apana mukaddar bana liya, tanhaiyon ke shahar me ek ghar bana liya.
Sabab judai ka kuch to batoo muje, Phir chahe Dil-O-Jaan se sataoo muje, Chalo yeh mana k tumhain fursat hi nahi, Magar ye Jarorri to nahi k bhool jao muje
Itne Bekhabar Ho Chale Hai Vo Zamane Se,Ki Ab Shayad Unhe Kuch Yaad Hi Nahi,Maut Kabka Hame Apne Aagosh Me Le Chali,Aur Ek Vo Hai Ki Manne Ko Tayyar Hi Nahi
Maikhane mein jam tut jata hai, Ishq mein dil tut jata hai, Na jaane kya rishta hain dono mein. Jam tute to Ishq yaad aata hai, Dil tute to Jam yaad aata hai.