Kaun andaza mere gum ka laga sakta hai, Bin chale kaun sahi raah bata sakta hai, Kinare walo tum mere dard ko kya jano, Dubne wala hi gahrai bata sakta hai!
Na koi manzil hai na kinara hai koi,Tanhai hai mehfil or yadein hai sahara Us se bichad kar kuch yun waqt guzara,kabhi Zindagi ko tarse kabhi maut ko pukara..
Gam ke saye mein guzara hai jeevan humne, Apni palko ko aansuo se sajaya hai humne, Apni chahat ko kabhi pa na sake hum, Khud rokar dusro ko hasaya hai humne.
karib rehne ki chah to hamaen bhi thi,par na jane kyon faasle hi darmiyan aaye... marz ki dava to le lete hum bhi,par na jaane gyon jakhm nazar hi nahin aaye.
AAJ TALAK HUM CHAHTE RAHE HAIN AAPKO YE BAAT BHI TO SADA BTAATE RAHE HAIN AAPKO AB AAP HE NA SAMAJH PAAYE TO KYA KAREIN HUM TO HAAL-E-DIL SUNAATE RAHE HAIN AAPKO