Manzile bi uski thi,Rasta bhi uska tha. Ek main akela tha,Kafila bi uska tha.. Sath Sath chalne ki soch bi uski thi,Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha... Aaj kyo akela hoon,Dil sawal karta hai,Log to uske the, Kya KHUDA bhi uska tha,.
Waqt guzarta raha par sanse thami si thi, muskura rahe the hum par ankho mein namisi thi, sath hamare ye Jahan tha sara,par Na jane kyun kisi ki kami si Thi
ZINDAGI guzarne ka bahana dhundte hai,Khatam na ho kabhi woh PAIMANA dhundte hai,HOSH mein to tadpenge raat-din,jo HOSH na aane de woh MAIKHANA dhundte hai.