Mohabat k safar me koi rasta nahi deta,Zameen Wakif nahi banti falak saya nahi deta,Uthana khud hi padta he thaka tuta badan,K jab tak saans chalti he koi kandha nahi deta.
Kehte hai gam baatne se hota hai kam, aisa hi kabhi pele maante the hum, tere pyar ki nishani tera gam hi to mere paas, wo bhi baat du to rahega kya mere paas
Hum Vo Ishq Hai Jo Dil Bankar Dhadakte Hai Hum Vo Khushboo Hai Jo Bahon Me Mehekte Hai Humse Pyaar Na Karna Aye Zalim Hum Vo Dard Hai Jo Aankhon Se Chalakte Hai.
Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho Khud Nazar Aaogye Jo Aankh Mila Ker Dekho Mere Gham Mai Mari Takdeer Nazar Aati Hai Dugmagaaoge Mera Dard Utha Ker Dekho
Hosh me aaye zamana hua, lekin bahosh khud ko paate hain, arsha beeta iss duniya mein, lekin khud ko tanha paate hain, dar lagta hai lambi umar se, itna duniya ne sataya hai, log mout se dara karte hain, hum zindagi se ghabraatein hain…
bahut dinon baad aaya hai yeh deewana is dar par jaise laut ke mauj phir aayi ho sahil par main to pehle bhi tanha tha aaj bhi tanha hun kaun dega dastak is deewane ke dar par