Tanha Chod Kar Humko Hosla Bhi Dete Ho,Saans Cheen Kar Jeene Ki Dua Bhi Dete Ho,Ek Taraf Judai Ka Ghum Bhi Jari Hai,Aur Muskurane Ka Mashwara Bhi Dete HO.
raaz ki baatain likhi aur khat khula rehney diya jaanay kyon rusvaion ka silsila rehnay diya.. umar bhar saath reh kar woh na samjha dil ki baat. do dilon kay darmiyan ik faasla rahney diya ! apni fitrat woh badal paya na iskay bawajood, Khatam ki ranjish magar gila rehney diya !