Unko pyar karne ka hisaab na aaya..Meri kisi bhi baat ka jawaab na aaya..Hum to jaagte rahe unke hi khayalo mein..Aur unko so kar bhi hamara khwaab na aaya
Intezaar ka jo meetha dard diya hai aapne, mujh par bada ehsaan kiya hai aapne. Yeh hichkiyan bhi to nahi aati kambakht, jo sochu ke yaad kiya hai aapne.
Bhul se kabhi hame bhi yaad kiya karo, Pyar nahi to shikayat hi kiya karo, itne bhi gair na samjo ki baat hi na kiya karo, call nahi to miss call hi kiya karo!
Gam nahi tha humko kabhi zamaane ki ruswayion ka,Takleef hoti hai jab koi apna khafa ho jata hai,Dil ki khalish aksar jaan leva ho jati hai lekin,Dar-e-dil ek had ke baad dard-e-dawa ho jata hai.