Kaun andaza mere gum ka laga sakta hai, Bin chale kaun sahi raah bata sakta hai, Kinare walo tum mere dard ko kya jano, Dubne wala hi gahrai bata sakta hai!
Badi Muddat Se Aas Lagai Hai Maine, Khabar Jo Unke Aane Ki Suni Hai Main, Andhere Mein Thokar Khakr Gir Na Jayein Woh Kahi, Isiliye Apne Hi Daamn Mein Aag Lagai Hai Maine…
Masoom mohabbat ka itna sa fasana hai.Kagaz ki haweli hai barish ko bhi aana hai.Us paar utrne ki ummed bahut kam hai.Kashti bhi purani hai tufan ko bhi aana ha
Unse dur jaane ka irada na tha, sada saath rehne ka bhi waada na tha, woh yaad na karenge ye jante the hum, par itni jaldi bhul jayenge ye andaza na tha.