Zikar unka hi aata hai mere fasane mein,jinko jaan se zyada chaha hmne zmane mein. Tanhayi mein unki hi yaad ka sahara mila,nakamyaab rhe jinhe hum bhulane mein
Arz kiya hai jinki yad me hum diwane ho gaye, woh hum hi se begane ho gaye, shayad unhe talash hai ab naye dost ki, q ki unki nazar me ab hum purane ho gaye.
Mujhko Udaas dekh kar, Zamane ne yeh Saawal kiya, Woh kaun Hai zalim, Jisne tera yeh haal kiya, Maine kaha woh mohabbat hai, jo meri unke sath hai, woh nikli bewafa bus itni si baat hai...
Hosh Me Aaye Zamana Hua, Lekin Bahosh Khud Ko Paate Hain, Arsha Beeta Iss Duniya Mein, Lekin Khud Ko Tanha Paate Hain, Dar Lagta Hai Lambi Umar Se, Itna Duniya Ne Sataya Hai, Log Mout Se Dara Karte Hain, Hum Zindagi Se Ghabraatein Hain…