Nafrat tum kabhi na karna humse,hum ye seh nahi payenge,ek bar keh dena ki aithbar nahi hai humpe,wada hai hum phir aapke zindgi ke panne per kabhi laut kar nahi ayenge.
Wafao ke bdle hume mili bewafai itna pyar karne ke bavajud bi humne ye saza payi dil sahma sai hai,ek bat sata rahi hai usne bhula diya hume, par najaane kyu aaj fir USKI YAAD AYI HAI.
Hakikat na puch mere fasane ki,tere jate hi badal gayi nazar zamane ki. Log puchte hai mai khush kyun nahi,kya kahu meri toh adat thi tere sang muskurane ki.
Sath nahi rehne se rishte nahi tuta karte, waqt ki dundh se lamhe nahi tuta karte, log kahte he mera sapna tut gaya, tuti nind hai sapne nahi tuta karte.
uski yad me ham barso rote rahe,bewafa vo nikle badnam ham hote rahe,pyar me madhoshi ka aalam to dekhiye dhul chehare pe thi ham aaina saaf karte rahe
Kya Kya na socha Tha dil ne, kya kya na sapne sajaaye…. jal gaye saare sapne… reh gaye khaak ke saaye…. ab gila bhi kisse karoon main… kasoor To kisika bhi nahi… upar vaale ne hi kuch aise sitam ab mujh pe dhaaye, kuch na keh sake… nikli to bas dil se yehi aawaaz… haaye!
Yeh such hai doston kisi se pyaar na karna, Kabhi kisi ka aitbaar na karna, Tham ke khanjar apne hi hathon mein, Bedardi se apne dil par vaar na karna.