Kaise jiyenge tum bin,kaash tumhe ye ehsaas to raha hota,Jo dard saha hai humne,woh kabhi tumne bhi saha hota,Bas chal diye begano ki tarah daaman chhod ke,Kam se kam ek baar ALVIDA to kaha hota.
Sata sata ke hamen ashqbar karti hai Tumhari yaad bahut beqaraar karti hai Gila nahi ke nasibo ne kar diya hai juda Teri judaai bhi hamse pyar karti hai
Kuch hain jo bolkar apni baat samne rekhte hain Hum hain jo aankhon se izhaar karte hain Humein adat hai kinare aakar nao doobane ki Woh hain, ki toofan main bhi samandar paar kiya karte hain
Aapko dekhu,ab ye irada bhi baki na raha,tujhe sochu,shayad ab ye haq bhi hamara na raha,kabhi to karti apni majbooriyoin ka khulasa hamse,ki lad jaya jahan se tere liye ye bhi tujhko gavara na raha.