Gham Ne Hasne Na Diya.. Zamane Ne Rone Na Diya, Is Uljan Ne Chain Se Jine Na Diya, Thak Ke Jab Sitaro Se Panah Lee, Nind Aye To Teri Yaad Ne Sone Na Diya.
dard e dil kisko batayein hume yahan har doosra diljala mil jata hai kambaqt yeah tera chehra humein ab sharab mein bhi nazar aata hai sochta hoon dil badal loon lekin har dil mein tera ehsaas mil jata hai
Har pal har lamha karte the jinhe hum yaad, kabhi sirf kabhi kabhi hoti thi jisse baat. Aaj wo hi nahin mere paas.Jiski baate soch kar apni tanhai ko bhuljata tha, jinhe yaad kar ke kabhi hasta tha to kabhi udaas hota tha. Aaj wo hi nahin mere paas.