Ab ke sawan mein paani barsa bahut,Paani ki har boond mein woh aaye yaad bahut.Is suhaane mausam mein saath nahi tha koi,Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bahut.
Dilon se khelne ka hunar hume nahi aata.! Isliye ishq ki baazi hum haar gaye.! Meri zindagi se shayed unhe bahut pyar tha.! Isliye mujhe zinda hi maar gaye.
Aae dil tu mohabbat karta kyu hai,Jo karta hai to phir tadapta kyu hai,Jo baith gaya hai dil me pyaar ka dard ban kar,Woh aankho ke raaste nikalta kyu hai.
Unse dur jaane ka irada na tha, sada saath rehne ka bhi waada na tha, woh yaad na karenge ye jante the hum, par itni jaldi bhul jayenge ye andaza na tha.