Likhu kuch aaj yeh waqt ka takaza hai; dil me dard abhi taza-taza hai; gir padte hai aansu mere kagaz par, lagta hai kalam me syahi kam aur ishq zyada hai..
Kya Faayda Hua hai Ab Intazaar Karke ? ? Gardish me aa gaye hai..Hum Tumse Pyar Karke.. Is Daur me Wafa ka ..Hum Karobaar Karke.... Sunnat nibha rahe hai..Dushman se Pyar Karke....
Woh pal aisa tha ki inkar na kar paaye,Duniya ke dar se ikrar na kar paaye... Na thi zindagi jiske bina mumkin,Usne chod diya aur hum sawal na kar paaye.
Hosh Me Aaye Zamana Hua, Lekin Bahosh Khud Ko Paate Hain, Arsha Beeta Iss Duniya Mein, Lekin Khud Ko Tanha Paate Hain, Dar Lagta Hai Lambi Umar Se, Itna Duniya Ne Sataya Hai, Log Mout Se Dara Karte Hain, Hum Zindagi Se Ghabraatein Hain…