Manzil na pa sake to kya hosla to hai Saath nahi karwaan to kya rasta to hai Uthenge kadam phir se manzil ke taraf Koi nahi saath to kya, khud pe bharosa to hai
Rait par likh ke mera naam mitaya na karo aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo log har baat ka afsana bana lete hain sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo
Nafrat thi hamse to izhar kyu kiya? Dena tha zaher to pyar kyu kiya? Dekar zaher kehte hai ke pina hi hoga,Aur jab pi gaye zaher to kehte hai ab jina hi hoga.