Gham Ne Hasne Na Diya.. Zamane Ne Rone Na Diya, Is Uljan Ne Chain Se Jine Na Diya, Thak Ke Jab Sitaro Se Panah Lee, Nind Aye To Teri Yaad Ne Sone Na Diya.
Aaj arse baad jab suni uski awaaz, toh laga ki mere bahut pass hai woh. Ho gayi nam yeh aankhen jab hosh aaya, aur paya ki kabhi naa puri hone wali aas hai woh.
Kuch adhure khwaab aankhon me saja kar so gaya Bant di khushiyan sabi me ashqon ko chupa kar so gaya Har koi meri hansi ko dekh kar hans leta hai Mai to patthar tha gamon ko bhi rula kar so gaya
Itne karib aye ke dur ho gaye, Itane hanse ki rone ko majbur ho gaye, Aur ansuon ko apana mukaddar bana liya, tanhaiyon ke shahar me ek ghar bana liya.
DIL AAPKO DENE KA FAISLA KAR CHUKKE HAIN HUM AB AAPKI MARZI HAI KI RAKHEIN YA CHOD DE HUM TO CHAHTE HAIN IS DIL KO ZODNA AAPSE AB AAPKI MARZI HAI DIL ZODE YA TOD DE
hasane ke bad kyon rulati hai duniya, jaane ke bad kyon bhulati hai duniya, baki rehti hai kya kasar zindgi me, ki marne ke bad bhi jalati hai duniya......