Raat ho gayi par Nind kaha hai,So jau par wo pyara sath kaha hai,Kuch sunu pr wo khubsurat si pyari aawaz kaha hai,Roye b to kaise 'KOI' paas kaha hai.
Kabhi-na-kabhi ye dil jarur rota hai,Jab koi apna mil-kar nazaro se dur hota hai.Sab se pahele roti hai ye aankhe,Q ki dil se jyada kasoor in ka hota hai.
yeh zarori nahin par asa howa karta hay jis ko chaho wahi dhoka diya karta hay qasmain khata hay woh ehad nibhanay ki or har moor pay rastay badal liya karta hay
Roone de aaj tu hum ko tu aankh sujaane de, Baahon me le-le aur khud ko bhig jaane de, Hai jo seene me kaid dariya wo chut jaayege, Hai itna dard ke tera daman bhig jaayega.
Arthi meri uth rahi thi mere ashiyane se,fir bhi taklif thi unko bahar aane me,bewafa ne ghar me bethe bethe hi pucha ki,aur kitani der baki he ise jalane me??