Rang wale rang se tasveer badal dete hain,Nikle hue kamaan se teer badal dete hain... Tumse mere do aansu na badle gaye,Badalne wale to taqdeer badal dete hain
Barh gaye kuch aur uljhan rabta karne ke baad,khud se bhi shikwa raha un se gila karne ke baaad,is se barh kar aur kya hum per sitam hoga yahan,mashwara manga hai usne faisla karne ke baad.
Kalam uthayi hai lafs nahi milta, jisko dhoond rahein hain vo shaks nahi milta, firte hain vo jamaane ki talaash mein, bas humare liye unhe waqt nahi milta!!!