Bagair jane pehchane ikrar na kijiye, Muskura kar dil ko be qarar na kijiye, Phool bhi de jate hai zakhm gehra kabhi kabhi, Har phool par yu aetbaar na kijiye..
Na koi manzil hai na kinara hai koi,Tanhai hai mehfil or yadein hai sahara Us se bichad kar kuch yun waqt guzara,kabhi Zindagi ko tarse kabhi maut ko pukara..