Mujhai dard-e-ishq ka maza maalum hai, Dard-e-dil ki intha maalum hai, Zindgi bhar mooskrane ki dua na do yaro, Mujhai pal bhar mooskrane ki saza maalum hai.
Koi kuch bhi na kahay to pata kya hai Is bechain khamoshi ki wajah kya hai Unhain ja kay koi kahay hum lay lenge zahar bhi Woh sirf yeh to bata dain meri khata kya hai.......
Roti hui aakho me intazaar hota hai, Na chahate huye bhi pyar hota hai, Kyu dekhte hai hum who sapne, jinke tutne par bhi unke sach hone ka intzaar aakhir taak hota hai
Dilon se khelne ka hunar hume nahi aata Isiliye ishq ki baazi hum haar gaye Meri zindagi se shayad unhe bahut pyar tha Isiliye mujhe zinda hi maar gaye....