Zuban khamosh, ankhon me nami hogi, Yahi bas ek dastan-e-zindagi hogi, Bharne ko to har zakham bhar jayega, kaise bharegi wo jagah jaha Teri kami hogi.
Sata sata ke hamen ashqbar karti hai Tumhari yaad bahut beqaraar karti hai Gila nahi ke nasibo ne kar diya hai juda Teri judaai bhi hamse pyar karti hai
Ye Zid Hai Humari K Use Cheen Lein SB Se Hum Aur Zamane Se Taqaza Nhi Krte Hum Tanhai Mein Ro Lete Hein Aksar Hum Shehar Ki Galiyon Mein Tamasha Nhi Krte
Bada armaan tha tere sang jeevan bitanne ka, Shikwa he bas tere khamosh reh jaane ka, Dewaangi isse badkar bhi kya hogi, Aaj bhi intajaar hai tere aane ka.