Dil ki duniya tootne ke baad sab rote the Hum the ki pagalon ki tarah hanste the Yeh hale dil hum kaise sunaye ki Takleef na ho unko iss liye akele rote the
Mere sath sath sada raha woh meri nazar se chupa hua Ye ajeeb si jo misal hai na kabhi mila na juda hua Jise le gai hai abhi hawa woh varak tha dil ki kitab ka Kahin ansuo se likha hua kahin ansuon se mita hua
ek janaze ko dekh kar ladki muskrayi,ek baba bola beti jawan mot pr yu muskraya nhi krte,beti boli baba kya karu wada kiya tha jb bhi milenge muskura dena,mere janaze per bhi na rona.
Subha Ki befikri Day ker,Shamon Ki her Ik Sohbat deyker Loag Tou Dou Kori Bhi na Dein Per Ham nay Bari Qemat deykar Dard Khareda thaa So ab Ussi Ko Dil say Lagaye Bethay hain
Hathon se gir gayi lakire kahi, bhool aaye hum apni takdiren kahi agar tumhe kahin mile toh utha lena mere hisse ki sari khushiya apne hathon me saja lena
Chaha Tha Unhe Hale Dil Sunana, Chaha Tha Unhe Junoone Mohhabatt Dikhana, Nasme Laye The Hum Dil Kured Kured Kar, Per Alfaaz Bhi Chale Gaye Unhe Dekh Kar