Roye ho bahut tab zara karar mila hai, Is jahan mein kisey sacha pyar mila hai, Guzaar rahi hai zindagi imtehan ke daur se ek khattam hoa toh doosra taiyaar mila hai .....
Pukarne se pahle hi, dil ki meri sada sunana akela chalne se pahle, meri kabar ke phool chunana wada-e-wafa bas hamare hokar nibhana jaan dene ki baat, app kabhi hargiz na karna......
Aaj apne aap se khafaa hoon...... jo uske chere ki madhoshiyaan na pad saka, par kya karoon uski yaad me aisa khoyaa ki uski muskurahat ke peeche ki shararat na pad saka.
Naksh Kuch Mitte Rahe Kuch Sooratein Banti Raheen, Ranj Ki Beshi Kabhie Se Raahatein Banti Raheen, Mera Sarmaayaa Umeedon Ke Sivaa Kuch Bhi Na Thaa, Kuch To Yaadein Ban Gayeen Kuch Hasratein Banti Raheen