Roothna mat hamein manana nahi aata Door mat jana hamein bulana nahi aata Tum bhool jao hamein tumhari marzi Hum kya karen hamein to bhulana bhi nahi aata
Jo gham hai mere dil mein, kaise bayaa karu dhoop bhi jab sard ho to dil ghabraata hai dikhta nahi jo jakhm, use kya dawaa karu, hamdard ko jab dard ho to dil ghabraata hai
Maikhane mein jam tut jata hai, Ishq mein dil tut jata hai, Na jaane kya rishta hain dono mein. Jam tute to Ishq yaad aata hai, Dil tute to Jam yaad aata hai.
Kya mohabbt kisi ke bhi kabil nahi hai jo dil chahe kyu usse wo hasil nahi hai saans ab jeevan ko itni door layi hai maut keh rahi hai wo teri manzil nahi hai.