Badi mehnat se meri duniya lutai hogi, meri mohabbat ki hasti bhi mitai hogi, la tere pairon me marham laga dun,mere dil ko thokar marne me chot to aayi hogi..
Kalam uthayi hai lafs nahi milta, jisko dhoond rahein hain vo shaks nahi milta, firte hain vo jamaane ki talaash mein, bas humare liye unhe waqt nahi milta!!!
Badla jo Waqt, Gehri Dosti Badal Gai Suraj Dhala To Saaye ki Soorat Badal Gai Ik Umr Tak main Uski Zaroorat Bana raha Phir yun Hua k Uski Zaroorat Badal Gai
Sukhe phool ko todane wala koi nahi, toote dil ko jodane wala koi nahi, kitana khali hai ye dil sayad koi jaan pata, afsos ye hai ine sunne wala koi nahi
Hansi ne labhon pe thirakna chodh diya, khwabon mei kisi ne aana chodh diya, nahi aati ab toh hichki bhi humko, lagta hai aapne yaad karna bhi chodh diya.