Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne, khud bula ker phir sataya hai kisi ne, jab tak jali hai shama jalta raha parwana, kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne
Kisi ke liye ab ye aankhe num na karenge,Wo chale bhi jaye to gum na karenge,Ho gayi khataa kisi ko jaan se jyada chaha,Ab ye khataa dobaara hum na karenge.
Gam ke saye mein guzara hai jeevan humne, Apni palko ko aansuo se sajaya hai humne, Apni chahat ko kabhi pa na sake hum, Khud rokar dusro ko hasaya hai humne.