Unko pyar karne ka hisaab na aaya..Meri kisi bhi baat ka jawaab na aaya..Hum to jaagte rahe unke hi khayalo mein..Aur unko so kar bhi hamara khwaab na aaya
Tujhe bhoolkar bhi na bhool payenge hum, Bas yahi ek wada nibha payenge hum. Mita denge khud ko bhi jahan se lekin, Tera naam dil se na mita payenge hum..
Bagair jane pehchane ikrar na kijiye, Muskura kar dil ko be qarar na kijiye, Phool bhi de jate hai zakhm gehra kabhi kabhi, Har phool par yu aetbaar na kijiye..